Panchhi Nadiya Pawan Ke Jhonke Lyrics
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonkeKoi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Jo hum donon panchhi hote
Tairate hum is neel gagan mein
Pankh pasaare
Saari dharti apni hoti Apne hote saare nazaare
Khuli fizaaon mein udte
Khuli fizaaon mein udte
Apne dil mein hum sara pyaar samo ke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Jo main hoti nadiya ar tum
Pawan ke jhonke to kya hota
O.. jo main hoti nadiya ar tum
Pawan ke jhonke to kya hota
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko
Jab chhoote hain
Pawan ke jhonke nadi ke tan ko
Jab chhoote hain
Laharein hi laharein banti hain
Hum donon jo milte to kuchh aisa hota
Sab kehte yeh lahar lahar jahan bhi jaaye
Inko na koi toke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke
Sarhadein insaanon ke liye hain
Socho tumne aur maine
Kya paya insaan hoke
Panchhi nadiya pawan ke jhonke
Koi sarhad na inhein roke