PATTA PATTA BOOTA BOOTA LYRICS

Patta Patta Boota Boota Lyrics

Patta patta boota boota
Haal hamara jaane hai
Patta patta boota boota
Haal hamara jaane hai
Patta patta
Jaane na jaane gul hi na jaane
Baag to sara jaane hai
Patta patta boota bootaHaal hamara jaane hai
Patta patta

Koi kisi ko chaahe
To kyun gunaah samajhte hain log
Koi kisi ki khaatir
Tadpe agar to hanste hain log
Begana aalam hai saara
Yahaan to koi hamara Dard nahi pehchaane hai
Patta patta boota boota
Haal hamara jaane hai
Patta patta

Chahat ke gul khilenge
Chalti rahe hazaar aandhiyan
Hum to kisi chaman mein
Baandhenge pyaar ka aashiyan
Yeh duniya bijli giraaye
Yeh duniya kaante bichhaaye
Ishq magar kab maane hai
Patta patta boota boota
Haal hamara jaane hai
Patta patta

Also Read  RAAT HAMARI TO LYRICS

Dikhlayenge jahan ko
Kuchh din jo zindgaani hai aur
Kaise na hum milenge
Humne bhi dil mein thaani hai aur
Abhi matwaale dilon ki
Mohabbat waale dilon ki
Baat koi kya jaane hai
Patta patta boota boota
Haal hamara jaane hai
Patta patta

Jaane na jaane gul hi na jaane
Baag to sara jaane hai
Patta patta boota boota
Haal hamara jaane hai
Patta patta

Patta Patta Boota Boota Lyrics In English

Anisha Dixit

Anisha Dixit is a contributor at Trade Day, writing on personal finance, mutual funds, and market basics for Indian retail investors. She focuses on making everyday money and investing decisions easier to understand for beginners.

Latest from Blog