MAIN SHAYAR TO NAHIN LYRICS – Bobby

Main Shayar To Nahin Lyrics

Main shayar to nahin

Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko shayari aa gayi x (2)

Main aashiq to nahin
M agar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko aashiqi aa gayi
Main shayar to nahin

Pyar ka naam maine suna tha magar
Pyar kya hai yeh mujhko nahin thi khabar x (2)

Main to uljha raha uljhano ki tarah
Doston mein raha dushmano ki tarah
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko dosti aa gayi Main shayar to nahin

Also Read  monkey king 3 in hindi dubbed download

Sochta hoon agar main dua mangta
Hath apne utha kar main kya mangta x (2)

Jabse tujhse mohabbat main karne laga
Tabse jaise ibaadat main karne laga
Main kafir to nahin
Main kafir to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko bandagi aa gayi

Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko shayari aa gayi
Main shayar to nahin

Main Shayar To Nahin Lyrics In English

Latest from Blog

error: Content is protected !!