Khudaya Khair Lyrics
Phoolon se mukhde waali nikli hai ek matwaali
Gulshan ki karne sair Khudaya khair
Gulshan ki karne sair khudaya khair
Le thaam le meri baahein
Oonchi-neechi hain raahein
Kahin phisal na jaaye pair khudaya khair
Gulshan ki karne sair khudaya khair
Kya haal nazaron ka hogaKya rang baharon ka hoga
Yeh husn agar muskaya to
Yeh husn agar muskaya to
Kya ishq ke maaron ka hoga
Matwale nain hain aise
Talaab mein yaaron jaise
Do phool rahe hon tair khudaya khair
Gulshan ki karne sair khudaya khair
Yeh honth nahin afsane hain
Afsane nahin maikhane hain
Na jaane kiski kismat mein
Yeh pyar bhare paimane hain
In hothon ka mastana, in zulfon ka deewana
Ban jaaye na koi gair khudaya khair
Gulshan ki karne sair khudaya khair
Har ek adaa mastani hai, yeh waqt ki rani hai
Jo pehli baar suni maine
Jo pehli baar suni maine
Yeh woh rangeen kahani hai
Maujon ki tarah chalti hai
Shabnam si yeh jalti hai
Kaliyon se hai bair khudaya khair
Gulshan ki karne sair khudaya khair
Phoolon se mukhde waali nikli hai ek matwaali
Gulshan ki karne sair khudaya khair
Ho kahin phisal na jaaye pair khudaya khair