Piya Tora Kaisa Abhimaan Lyrics
Piya tora kaisa abhimaan
Piya tora kaisa abhimaan
Kisi mausam ka jhonka tha
Jo is deewar par latki hui
Tasveer tirchhi kar gaya hai
Gaye saawan mein yeh deewarein
Yoon seeli nahin thi
Na jaane is dafaa kyunInmein seelan aa gayi hai
Daraarein pad gayi hain
Aur seelan is tarah behti hai jaise
Khushka rukhsaaron pe geele aansu chalte hain
Saghan saawan laayi kadam bahaar
Mathura se doli laaye chaaron kahaar
Nahin aaye, nahin aaye kesariya balma hamaar
Angna bada sunsaan
Yeh barish gungunaati thi
Isi chchat ki munderon par
Yeh barish gungunaati thi
Isi chhat ki munderon par
Yeh ghar ki khidkiyon ke kaanch par
Ungli se likh jaati thi sandese
Bilakhti rehti hai baithi hui
Ab band roshandanon ke peechhe
Apne nayan se neer bahaaye
Apni jamuna khud aap hi banaave
Apne nayan se neer bahaaye
Apni jamuna khud aap hi banaave
Dopahrein aisi lagti hain
Bina moharon ke khaali khaane rakkhe hain
Na koi khelane wala hai baazi
Na koi chaal chalta hai
Laakh baar usmein hi nahaaye
Poora na hoyi asnaan
Phir poora na hoyi asnaan
Sookhe kes rookhe bhes, manva bejaan
Na din hota hai ab na raat hoti hai
Sabhi kuchh ruk gaya hai
Woh kya mausam ka jhonka tha
Jo is deewar par latki hui
Tasveer tirchhi kar gaya hai
Piya tora kaisa abhimaan
Tora piya tora..