MOHABBAT BADE KAAM KI CHEEZ HAI LYRICS

Mohabbat Bade Kaam Ki Cheez Hai Lyrics

Har taraf husn hai, jawani hai
Aaj ki raat kya suhani hai
Reshmi jism
Haan reshmi jism thartharaate hain
Marmari khwaab gungunaate hain
Dhadkanon main suroor phaila hai
Rang nazdeek-o-door phaila hai
Daawat-e-ishq de rahi hai fazaAaj ho ja kisi haseen pe fida
Ke!
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai

Mohabbat ke dam se hai duniya yeh roshan
Mohabbat na hoti to kuchh bhi na hota Nazar aur dil ki panahon ki khatir
Yeh jannat na hoti to kuchh bhi na hota
Yehi ek aaram ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai

Also Read  www movierulz com ht

Kitabon mein chhapte hai chahat ke kisse
Haqikat ki duniya mein chahat nahin
Kitabon mein chhapte hai chahat ke kisse
Haqikat ki duniya mein chahat nahin
Zamane ke bazaar mein yeh woh sheh hai
Ke jiski kisi ko zaroorat nahin hai
Yeh bekaar be-daam ki cheez hai
Yeh kudarat ke inaam ki cheez hai
Yeh bas naam hi naam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai

Mohabbat se itna khafa hone waale
Chal aa aaj tujhko mohabbat sikha dein
Tera dil jo barson se veeran pada hai
Kisi naazneena ko ismein basa dein
Mera mashwara kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Yeh bekaar be-daam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai
Mohabbat bade kaam ki cheez hai
Kaam ki cheez hai

Also Read  AALA RE AALA LYRICS

Mohabbat Bade Kaam Ki Cheez Hai Lyrics In English

Latest from Blog

error: Content is protected !!